Thursday, 1 December 2016

Life shayari - Dil ke andar veerana



Hum kuch aise deewane hain,
Jo khud se begaane hain,

Dastan-e-laila majnu na suna,
Yeh qisse to bade purane hain,

Logon ke labon pe ab,
Humaare naam ke afsane hain,

Duniya ki ronqein raas hain,
Dil ke andar veerane hain,

Mere qatl mein jo malawas they,
Wo hath asghr ke jane pechane hain…

– M. Asghar Mirpuri

हम कुछ ऐसे दीवाने हैं,
जो खुद से बेगाने हैं,

दास्ताँ-ए-लैला मजनू ना सुना,
यह किस्से तो बड़े पुराने हैं,

लोगों के लबों पे अब,
हमारे नाम के अफ़साने हैं,

दुनिया की रोकए रास हैं,
दिल के अंदर वीराने हैं,

मेरे क़त्ल में जो मलवास थे,
वो हाथ असग़र के जाने पहचाने हैं…

– म. असग़र मीरपुरी

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari