Pardes mein zindagi kaise basar hoti hai,
Iss baat ki musafir ko hi khabar hoti hai,
Jab hum ek doosre se mil nahi sakte,
Jo haalat idhr hoti hai wohi udhr hoti hai,
Main har pal apni mohabbat ka izahar nahi karta,
Bar-bar kahi jaane waali baat ki na qadar hoti hai,
Kaun pyara humein duaon mein yaad rakhta hai,
Hichki aate hi iss baat ki khabar hoti hai,
Do waqat ki roti se zyada ka lalach nahi karte,
Thode mein bhi apni acchi basar hoti hai…
– M. Asghar Mirpuri
परदेस में ज़िन्दगी कैसे बसर होती है,
इस बात की मुसाफिर को ही खबर होती है,
जब हम एक दुसरे से मिल नहीं सकते,
जो हालात इधर होती है वही उधर होती है,
मैं हर पल अपनी मोहब्बत का इज़हार नहीं करता,
बार-बार कही जाने वाली बात की ना क़दर होती है,
कौन प्यारा हमें दुआओं में याद रखता है,
हिचकी आते ही इस बात की खबर होती है,
दो वक़्त की रोटी से ज़्यादा का लालच नहीं करते,
थोड़े में भी अपनी अच्छी बसर होती है…
– म. असग़र मीरपुरी
No comments:
Post a Comment