Wednesday, 9 November 2016

Bahadur Shah Zafar - Khulta nahin hai hal


Khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair,
Par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair,
Main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo,
Ayenge daure ap mere ghar kahe bagair,
Kya tab kya majal hamari k bosa len,
Lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair,
Bedard tu sune na sune lek dard-e-dil,
Rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair,
Taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi,
Dilawata ai ?Zafar? hai muqaddar kahe bagair.


खुलता नहीं है हाल किसी पर कहे बगैर,
पर दिल की जान लेते हैं दिलबर कहे बगैर,
में क्योंकर कहूँ तुम औ के दिल की कशिश से वो,
आएंगे दौड़े आप मेरे घर कहे बगैर,
क्या तब क्या मजाल हमारी के बोसा लें,
लब को तुम्हारे लब से मिलकर कहे बगैर,
बेदर्द तू सुने ना सुने लेक दर्द-ए-दिल,
रहता नहीं है आशिक़-ए-मुज़्तर कहे बगैर,
तक़दीर के सिवा नहीं मिलता कहीं से भी,
दिलवाता ऐ ?ज़फर? है मुक़द्दर कहे बगैर|

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari