Wednesday, 9 November 2016

Sahir Ludhianvi - Sangay mar-mar se tarasha hua


Sangay mar-mar se tarasha hua ye shokh badan,
Itna dilkash hai ke apnanay ko ji chahta hai,

Surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab,
Jisay pi kar bhahak janay ko ji chahta hai,

Naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan,
Jin ki lahron mein utar janay ko ji chahta hai,

Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,
Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,

Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,
Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,

Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,

Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,

Chorr kar tum ko kahan chain mileyga hum ko,
Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,

Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,

Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,
Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,

Mere daman ko koi aur na chuu payega,
Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,

Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,
Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,

Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,
Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai…



संगे मर-मर से तराशा हुआ ये शोख बदन,
इतना दिलकश है के अपनाने को जी चाहता है,

सुर्ख होंठों में तेर्क्ती है ये रंगीन शराब,
जिसे पी कर बहक जाने को जी चाहता है,

नरम सीने में धड़कते हैं वो नाज़ुक तूफ़ान,
जिन की लहरों में उतर जाने को जी चाहता है,

तुम से क्या रिश्ता है, कब से है, ये मालूम नहीं,
लेकिन इस हुस्न पे मर जाने को जी चाहता है,

रख ले कल के लिए ये दूसरी पाज़ेब दिल,
कल इस बज़्ज़्म में फिर आने को जी चाहता है,

बे-खबर सोये हैं वो लूट के नींदें मेरी,
जज़्बा-ए-दिल पे तरस खाने को जी चाहता है,

कब से खामोश हो ए जाने जहाँ कुछ तो बोलो,
क्या अभी भी सितम और ढाने को जी चाहता है,

छोड़ कर तुम को कहाँ चैन मिलेगा हम को,
यहीं जीने यहीं मर जाने को जी चाहता है,

अपने हाथों से संवारा है तुम्हें क़ुदरत ने,
देख केर देखते रह जाने को जी चाहता है,

नूर ही नूर झलकता है हसीं चेहरे से,
बस यहीं सजदे में गिर जाने को जी चाहता है,

मेरे दामन को कोई और ना छू पायेगा,
तुम को छू कर कसम ये खाने को जी चाहता है,

चाँद चेहरा है तेरा और नज़र है बिजली,
एक इक जलवे पे मर जाने को जी चाहता है,

चाँद की हस्ती ही क्या सामने जब सूरज हो,
आप के क़दमों में मिट जाने को जी चाहता है…

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari