Wednesday, 9 November 2016

Sahir Ludhianvi - Hawas naseeb e nazar ko


Hawas naseeb-e-nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,

Humi say rang-e-gulistan humi say rang-e-bahar,
Humi ko nazm-e-gulistan pey ikhtayar nahi,

Abhi na ched mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,

Tumharey ehad-e-wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,

Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,

Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,

Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi...


हवस नसीब-ए-नज़र को कहिए क़रार नहीं,
मैं मुंतज़िर हूँ मगर तेरा इंतज़ार नहीं,

हमीं से रंग-ए-गुलिस्तां हमीं से रंग-ए-बहार,
हमीं को नज़्म-ए-गुलिस्तां पे इख्तयार नहीं,

अभी ना छेड़ मोहब्बत के गीत ऐ मतराब,
अभी हयात का माहौल खुशगवार नहीं,

तुम्हारे एहद-ए-वफ़ा को मैं एहद क्या समझूं,
मुझे खुद अपनी मोहब्बत का ऐतबार नहीं,

ना जाने कितने गीले इस में मुज़्तरिब हैं नदीम,
वो एक दिल किसी का गिला गुज़ार नहीं,

गुरेज़ का नहीं कैल हयात से लेकिन,
जो सच कहूं तो मुझे मौत नागवार नहीं,

ये किस मुक़ाम पे पोहंचा दिया ज़माने ने,
के अब हयात पे तेरा भी इख्तयार नहीं...

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari