Monday, 31 October 2016

Sahir Ludhianvi - Tod lenge hr ik shai se rishta


Tod lenge hr ik shai se rishta tod dene ki naubat to aye,
Hum qayamat ke khud muntazir hain pr kisi din qayaamat to aye,

Hum bhi suqraat hain ehd-e-nau ke tishna-lab hi na mar jayen yaro,
Zehr ho ya mai-e-aatisheen ho koi jaam-e-shahaadat to aye,

Ek tehzeeb hai dosti ki ek meyaar hai dushmani ka,
Doston ne muravvat na seekhi dushmanon ko adawat to aye,

Rind raste mei aankhen bichaayen jo kahe bin sune maan jayen,
Naaseh -e- nek-teenat kisi shab suu-e-kuu-e-malaamat to aaye,

Ilm-o-tehzeeb tareekh-o-mantaq log sochenge in maslon pr,
Zindagi ke mashaqqat-qade mei koi ehd-e-faraaghat to aaye,

Kaamp uthen qasr-e-shaahi ke gumbad thartharaaye zameen maabadon ki,
Kuucha-gardon ki vehshat to jaage gham-zadon ko baghaawat to aye..


तोड़ लेंगे हर इक शै से रिश्ता तोड़ देने की नौबत तो आये,
हम क़यामत के खुद मुंतज़िर हैं पर किसी दिन क़यामत तो आये,

हम भी सुकरात हैं एहद-ए-नौ के तृष्णा लब ही ना मर जाएँ यारो,
ज़हर हो या मै-ए-आतिशीं हो कोई जाम-ए-शहादत तो आये,

एक तहज़ीब है दोस्ती की एक मयार है दुश्मनी का,
दोस्तों ने मुरव्वत ना सीखी दुश्मनों को अदावत तो आये,

रिन्द रास्ते में आँखें बिछाएं जो कहे बिन सुने मान जाएँ,
नासेह-ए-नेक-तीनत किसी शब सू-ए-कू-ए-मलामत तो आये,

इल्म-ओ-तहज़ीब तारिख-ओ-मन्तक लोग सोचेंगे इन मसलों पर,
ज़िन्दगी के मशक़्क़त-कदे में कोई एहद-ए-फ़राग़त तो आये,

काँप उठें कसर-ए-शाही के गुम्बद थरथराये ज़मीन माबदो की,
कूचा-गर्दों की वहशत तो जागे ग़म-ज़दो को बग़ावत तो आये..

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari