Wednesday, 4 January 2017

Best shayari of Ghalib (Ghalib's Sher in Hindi)

Best shayari of Ghalib (Ghalib's Sher in Hindi)

Kee mire qatl ke baad us ne jafaa se tauba
haaye us zood-pasheemaan ka pasheemaan hona

Koi ummeed bar nahi aati
koi soorat nazar nahi aati


Kaun hai jo nahi hai haazat-mand
kis kee haazat ravaa kare koi

की माइर क़त्ल के बाद उस ने जफ़ा से तौबा
हाए उस ज़ूद-पाशीमाँ का पाशीमाँ होना

कोई उम्मीद बार नही आती
कोई सूरत नज़र नही आती


कौन है जो नही है हाज़त-मंद
किस की हाज़त रवा करे कोई

*******

‘Ghalib’ chhuti sharaab par ab bhi kabhi-kabhi
peeta huun roz-e-abra o shab-e-maahtaab mein

‘ग़ालिब’ च्छुटी शराब पर अब भी कभी-कभी
पीटा हुउँ रोज़-ए-आबरा ओ शब-ए-माहताब में

*******

‘Ghalib’ bura na maan jo vaaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahen jise

‘ग़ालिब’ बुरा ना मान जो वाइज़ बुरा कहे
ऐसा भी कोई है की सब अच्च्छा कहें जिसे

*******

Jab ki tujh bin nahi koi maujood
fir ye hangama ai khuda kya hai

जब की तुझ बिन नही कोई मौजूद
फिर ये हंगामा आई खुदा क्या है

*******

Jaan tum par nisaar karta huun
mai nahi jaanta dua kya hai

जान तुम पर निसार करता हुउँ
मई नही जानता दुआ क्या है

*******

Jee dhoondhta hai fir vahi fursat ke raat din
baithe rahen tasavvur-e-jaanaan kiye huye

जी ढूंढता है फिर वही फ़ुर्सत के रात दिन
बैठे रहें तसवउर-ए-जानां किए हुए

*******

Tum jaano tum ko gair se jo rasm-o-raah ho
mujh ko bhi poochhte raho to kya gunaah ho

तुम जानो तुम को गैर से जो रस्म-ओ-राह हो
मुझ को भी पूचहते रहो तो क्या गुनाह हो

*******

Tire vaade par jiye ham to ye jaan jhoot jaana
ki khushi se mar na jaate agar etibaar hota

टाइयर वादे पर जिए हम तो ये जान झूट जाना
की खुशी से मार ना जाते अगर एटिबार होता

*******

Thee khabar garm ki ‘Ghalib’ ke udenge purje
dekhne ham bhi gaye the pa tamasha na hua

थी खबर गर्म की ‘ग़ालिब’ के उड़ेंगे पुर्ज़े
देखने हम भी गये थे पा तमाशा ना हुआ

*******

De mujh ko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar
kuchh tujh ko mazaa bhi mire aazaar mein aave

दे मुझ को शिकायत की इजाज़त की सिटमगर
कुच्छ तुझ को मज़ा भी माइर आज़ार में आवे

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari