Wednesday, 23 November 2016

Bashir Badr - Thaa ‘mir’ jin ko sher ka


Thaa ‘mir’ jin ko sher ka aazaar mar gaye,
Ghaalib tumhare saare tarafdaar mar gaye,

Jazbon ki woh sadaaqten marhoom ho gayin,
Ehsaas ke naye naye izhaar mar gaye,

Saaqi teri sharaab barra kaam kar gayi,
Kuch raaste main, kuch passs-e-deewar mar gaye,

Sehron main ab jahaad hai, roza namaz hai,
Urdu ghazal main jitne thay kufaar mar gaye,

Misron ko hum ne naara-e-takbeer kar diya,
Geeton ke pukhtaa-kaar gulukaar mar gaye,

Ya rab tilism hosh-rubaa hai mushaayera,
Jin ko nahin bulaaya woh gham-khoaar mar gaye...


था ‘मीर’ जिन को शेर का आज़ार मर गये,
ग़ालिब तुम्हारे सारे तरफदार मर गये,

जज़बों की वो सदाक़तें मरहूम हो गयीं,
एहसास के नये नये इज़हार मर गये,

साक़ि तेरी शराब बड़ा काम कर गयी,
कुछ रास्ते मैं, कुछ पस्स-ए-दीवार मर गये,

सहरों मैं अब जहाद है, रोज़ा नमाज़ है,
उर्दू गजल मैं जीतने थे कुफ़ार मर गये,

मिसरों को हम ने नारा-ए-तकबीर कर दिया,
गीतों के पुख़्ता-कार गुलुकार मर गये,

या रब तिलिस्म होश-रूबा है मुशायरा,
जिन को नहीं बुलाया वो गम-खोआर मर गये...

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari