Wednesday, 23 November 2016

Bashir Badr - Phool sa kuch qalaam


Phool sa kuch qalaam aur sahi,
Ik ghazal us kay naam aur sahi,
Us ki zulfen bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam aur sahi,
Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek ladki ka naam aur sahi,
Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham aur sahi,
kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam aur sahi...

फूल सा कुछ क़लाम और सही,
इक गाज़ल उस के नाम और सही,
उस की ज़ुल्फ़ें बहोत घनेरी हैं,
एक शब का क़याम और सही,
ज़िंदगी के उदास क़िस्से हैं,
एक लड़की का नाम और सही,
कुर्सियों को सुनाए ग़ज़लें,
क़तल की एक शाम और सही,
कंपकंपाती है रात सीने मे,
ज़हर का एक जाम और सही...

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari