Wednesday, 12 October 2016

Mirza Ghalib - Rahiye ab aisi jagah chal kr jahaan koi na ho..

Rahiye ab aisi jagah chal kr jahaan koi na ho,
Hum-sukhan koi na ho aur hum-zubaan koi na ho,

Be-dar-o-deewaar sa ek ghar banaana chahiye,
Koi humsaaya na ho aur paasbaan koi na ho,

Parriye gr beemaar to koi na ho timaardaar,
Aur agar mar jayiye to nauha-khawaan koi na ho..

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari