Thursday, 27 October 2016

Love Shayari Collection


Tumhari is ada ka kya jawab du,
apne dost ko kya uphar du,
koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
jo khud gulab hai usko kya gulab du…
Phulo Mein Haseen gulab Hai,
Parhai Ke Liye Zaroori Kitaab Hai,
Duniya Me Har Sawal Ka Jawab Hai,
Agar Koi Tumse Mere Bare Me Puche To Kehna Wo Lajawaab Hai.

SMS ban ke chala ja tu gulab,
hogi sachi dosti to aye ga jawab,
agar na aaye to tu mat hona udas,
tu samajah lena hamare liye waqt nahin hai unke pass.

Barso baad na jaane kaun kaha hoga,
hum dono me se na jaane kaun kaha hoga,
phir milna hua to milenge khwabo me,
jaise sukhe gulab milte hain kitabo me.

Kaun sa phool paish karon,
Koi phool gulab nahin,
Aap to khud aik gulab hain,
Jiska koi jawab naheen…

Lamho Lamho per Khwaab Likhoonga,
Apni zindagi per kitaab likhoonga,
Aapki gardan (neck) ko phoolon ki tehni,
Aur aapke chehre ko gulab likhoonga.

Soch raha tha k jawab kya bheju,
aap jaise dost ko toofa kya bheju,
guldasta bhejna to bewakufi hogi,
kyu k jo khud gulab hai use gulab kya bheju

Zindgi Ka Har Khwab Haqiqat Ban Jaye,
Khushi K Chirago Se Zindgi Roshan Ho Jaye,
Mehak Jaye U Zindagi Apki,
Ki gulab Ki Khushbu Bhi Apke Samne Feeki Pad Jaye.

Chaand Sa Yeh Chehra Dekhne Ke Izazat De Do,
Mujhe Ye Shaam Sajane Ki Izazat De Do,
Mujhe Qaid Kar Lo Apne Ishq Mein Ya Fir,
Mujhe Ishq Karne Ki Izazat De Do.
Aankh kholu toh Chehra meri maa ka ho,
Aankh band ho to sapna meri maa ka ho,
Main marr bhi jau toh koyi gum nahi lekin,
Par Kaffan mile to dupatta meri maa ka ho.

Nikalo Apna Chaand sa Chehra..!
Agosh-e-Bistar se..!
Subha Taras Rhi..!
Hai Tera Deedar..!
Karne Ko..!

Khayal me aata hai jab us ka Chehra,
To labon pe aksar faryaad aati hai,
Hum bhool jate hai us k sare sitam,
Jab us ki thori si mohabbat yaad aati hai.

Aankho me teri hain mera ha Chehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Teri mohabbat pe hai mera pehra,
Chaahe too ye maane ya na maane,
Tere liye main jate huye lamho ko mod lu,
Tere dhadkano ko chhu lu teraa jism odh lu.

Tera Chehra Jab Samne Aaya,
Mera Dil Dekh Tumko Muskuraya,
Shukr Karta Hu Ma Us Khuda Ka,
Jisne Mujhe Tujhse Milaya.

Toot kar reh gaya hai rishta apna,
Ek muddat hoi dekha nahi Chehra apna.

Madhhosh hum hardam raha karte hain,
Aur ilzaam sharaab ko diya karte hain,
Kasoor sharaab ka nahi unka hai yaron,
Jinka Chehra hum har jaam mein talaash kiya karte hain.

Na Jaane Kaise
Dard E Dil Chhupa Lete Hain Log,
Na Jaane Kaise
Gham Mein Bhi Muskura Lete Hain Log,
Meri Zindagi Toh Ek Khuli Kitab Hai,
Na Jaane Kaise
Chehre Par Chehra Chadha Lete Hain Log.

No comments:

Post a Comment

Featured post

Barsaat Shayari – Kitni jaldi zindagi guzar

Kitni jaldi zindagi guzar jaati hai, Pyaas buztee nahin barsaat chali jaati hai, Aap ki yaadein kuchh iss tarah aati hai, Neend aati ...

Popular Shayari